Na Do Dushnam Hum Ko Itni Bad-KHui Se Kya Hasil

na do dushnam hum ko itni bad-KHui se kya hasil

tumhein dena hi hoga bosa KHam-rui se kya hasil

dil-azari ne teri kar diya bilkul mujhe be-dil

na kar ab meri dil-jui ki dil-jui se kya hasil

na jab tak chaak ho dil phans kab dil ki nikalti hai

jahan ho kaam KHanjar ka wahan sui se kya hasil

burai ya bhalai go hai apne waste lekin

kisi ko kyun kahen hum bad ki bad-goi se kya hasil

na kar fikr-e-KHizab ai shaiKH tu piri mein jaane de

jawan hona nahin mumkin siyah-rui se kya hasil

chaDhae aastin KHanjar-ba-kaf wo yun jo phirta hai

use kya jaane hai us arbada-jui se kya hasil

abas pamba na rakh dagh-e-dil-e-sozan pe tu mere

ki angare pe hoga chaaragar rui se kya hasil

shamim-e-zulf ho us ki to ho farhat mere dil ko

saba howega mushk-e-chin ki KHushbui se kya hasil

na howe jab talak insan ko dil se mel-e-yak-jaanib

'zafar' logon ke dikhlane ko yaksui se kya hasil

(696) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Do Dushnam Hum Ko Itni Bad-KHui Se Kya Hasil In English By Famous Poet Bahadur Shah Zafar. Na Do Dushnam Hum Ko Itni Bad-KHui Se Kya Hasil is written by Bahadur Shah Zafar. Read famous Poem Na Do Dushnam Hum Ko Itni Bad-KHui Se Kya Hasil for youth and Student by Bahadur Shah Zafar. Free Download Na Do Dushnam Hum Ko Itni Bad-KHui Se Kya Hasil in PDF.