Na Durweshon Ka KHirqa Chahiye Na Taj-e-shahana

na durweshon ka KHirqa chahiye na taj-e-shahana

mujhe to hosh de itna rahun main tujh pe diwana

kitabon mein dhara hai kya bahut likh likh ke dho Dalin

hamare dil pe naqsh-e-kal-hajr hai tera farmana

ghanimat jaan jo dam guzre kaifiyat se gulshan mein

diye ja saqi-e-paiman-shikan bhar bhar ke paimana

na dekha wo kahin jalwa jo dekha KHana-e-dil mein

bahut masjid mein sar mara bahut sa DhunDa but-KHana

kuchh aisa ho ki jis se manzil-e-maqsud ko pahunchun

tariq-e-parsai howe ya ho rah-e-rindana

ye sari aamad-o-shud hai nafas ki aamad-o-shud par

isi tak aana jaana hai na phir jaana na phir aana

'zafar' wo zahid-e-bedard ki hu-haq se behtar hai

kare gar rind dard-e-dil se ha-o-hu-e-mastana

(772) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Durweshon Ka KHirqa Chahiye Na Taj-e-shahana In English By Famous Poet Bahadur Shah Zafar. Na Durweshon Ka KHirqa Chahiye Na Taj-e-shahana is written by Bahadur Shah Zafar. Read famous Poem Na Durweshon Ka KHirqa Chahiye Na Taj-e-shahana for youth and Student by Bahadur Shah Zafar. Free Download Na Durweshon Ka KHirqa Chahiye Na Taj-e-shahana in PDF.