Na Us Ka Bhed Yari Se Na Ayyari Se Hath Aaya

na us ka bhed yari se na ayyari se hath aaya

KHuda aagah hai dil ki KHabardari se hath aaya

na hon jin ke Thikane hosh wo manzil ko kya pahunche

ki rasta hath aaya jis ki hushyari se hath aaya

hua haq mein hamare kyun sitamgar aasman itna

koi puchhe ki zalim kya sitamgari se hath aaya

agarche mal-e-duniya hath bhi aaya harison ke

to dekha hum ne kis kis zillat-o-KHwari se hath aaya

na kar zalim dil-azari jo ye dil manzur hai lena

kisi ka dil jo hath aaya to dildari se hath aaya

agarche KHaksari kimiya ka sahl nusKHa hai

wa-lekin hath aaya jis ke dushwari se hath aaya

hui hargiz na tere chashm ke bimar ko sehhat

na jab tak zahr tere KHatt-e-zangari se hath aaya

koi ye wahshi-e-ram-dida tere hath aaya tha

par ai sayyaad-wash dil ki giraftari se hath aaya

'zafar' jo do jahan mein gauhar-e-maqsud tha apna

janab-e-faKHr-e-din ki wo madad-gari se hath aaya

(938) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Us Ka Bhed Yari Se Na Ayyari Se Hath Aaya In English By Famous Poet Bahadur Shah Zafar. Na Us Ka Bhed Yari Se Na Ayyari Se Hath Aaya is written by Bahadur Shah Zafar. Read famous Poem Na Us Ka Bhed Yari Se Na Ayyari Se Hath Aaya for youth and Student by Bahadur Shah Zafar. Free Download Na Us Ka Bhed Yari Se Na Ayyari Se Hath Aaya in PDF.