Humne Teri KHatir Se Dil-e-zar Bhi ChhoDa

hum ne teri KHatir se dil-e-zar bhi chhoDa

tu bhi na hua yar aur ek yar bhi chhoDa

kya hoga rafugar se rafu mera gareban

ai dast-e-junun tu ne nahin tar bhi chhoDa

din de ke gaya kufr ke bhi kaam se aashiq

tasbih ke sath us ne to zunnar bhi chhoDa

goshe mein teri chashm-e-siyah-mast ke dil ne

ki jab se jagah KHana-e-KHummar bhi chhoDa

is se hai gharibon ko tasalli ki ajal ne

muflis ko jo mara to na zardar bhi chhoDa

TeDhe na ho hum se rakho iKHlas to sidha

tum pyar se rukte ho to lo pyar bhi chhoDa

kya chhoDen asiran-e-mohabbat ko wo jis ne

sadqe mein na ek murgh-e-giraftar bhi chhoDa

pahunchi meri ruswai ki kyunkar KHabar us ko

us shoKH ne to dekhna aKHbar bhi chhoDa

karta tha jo yan aane ka jhuTa kabhi iqrar

muddat se 'zafar' us ne wo iqrar bhi chhoDa

(711) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Humne Teri KHatir Se Dil-e-zar Bhi ChhoDa In English By Famous Poet Bahadur Shah Zafar. Humne Teri KHatir Se Dil-e-zar Bhi ChhoDa is written by Bahadur Shah Zafar. Read famous Poem Humne Teri KHatir Se Dil-e-zar Bhi ChhoDa for youth and Student by Bahadur Shah Zafar. Free Download Humne Teri KHatir Se Dil-e-zar Bhi ChhoDa in PDF.