TukDe Nahin Hain Aansuon Mein Dil Ke Chaar Panch

TukDe nahin hain aansuon mein dil ke chaar panch

surKHab baiThe pani mein hain mil ke chaar panch

munh khole hain ye zaKHm jo bismil ke chaar panch

phir lenge bose KHanjar-e-qatil ke chaar panch

kahne hain matlab un se hamein dil ke chaar panch

kya kahiye ek munh hain wahan mil ke chaar panch

dariya mein gir paDa jo mera ashk ek garm

but-KHane lab pe ho gae sahil ke chaar panch

do-chaar lashe ab bhi paDe tere dar pe hain

aur aage dab chuke hain tale gil ke chaar panch

rahen hain do majaz o haqiqat hai jin ka nam

raste nahin hain ishq ki manzil ke chaar panch

ranj o tab musibat o gham yas o dard o dagh

aah o fughan rafiq hain ye dil ke chaar panch

do tin jhaTke dun jun hi wahshat ke zor mein

zindan mein TukDe howen salasil ke chaar panch

farhad o qais o wamiq o azra the chaar dost

ab hum bhi aa mile to hue mil ke chaar panch

naz o ada o ghamza nigah panja-e-mizha

maren hain ek dil ko ye pil pil ke chaar panch

ima hai ye ki dewenge nau din ke baad dil

likh bheje KHat mein sher jo be-dil ke chaar panch

hire ke nau-ratan nahin tere hue hain jama

ye chandni ke phul magar khil ke chaar panch

mina-e-nuh-falak hai kahan baada-e-nashat

shishe hain ye to zahr-e-halahal ke chaar panch

naKHun karen hain zaKHmon ko do do mila ke ek

the aaTh das so ho gae ab chhil ke chaar panch

gar anjum-e-falak se bhi tadad kijiye

niklen ziyaada dagh mere dil ke chaar panch

maren jo sar pe sil ko uTha kar qalaq se hum

das panch TukDe sar ke hon aur sil ke chaar panch

man ai 'zafar' tu panj-tan o chaar-yar ko

hain sadar-e-din ki yahi mahfil ke chaar panch

(1232) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

TukDe Nahin Hain Aansuon Mein Dil Ke Chaar Panch In English By Famous Poet Bahadur Shah Zafar. TukDe Nahin Hain Aansuon Mein Dil Ke Chaar Panch is written by Bahadur Shah Zafar. Read famous Poem TukDe Nahin Hain Aansuon Mein Dil Ke Chaar Panch for youth and Student by Bahadur Shah Zafar. Free Download TukDe Nahin Hain Aansuon Mein Dil Ke Chaar Panch in PDF.