Mar Gae Ai Wah Unki Naz-bardari Mein Hum

mar gae ai wah un ki naz-bardari mein hum

dil ke hathon se paDe kaisi giraftari mein hum

sab pe raushan hai hamari sozish-e-dil bazm mein

shama san jalte hain apni garm-bazari mein hum

yaad mein hai tere dam ki aamad-o-shud pur-KHayal

be-KHabar sab se hain is dam ki KHabardari mein hum

jab hansaya gardish-e-gardun ne hum ko shakl-e-gul

misl-e-shabnam hain hamesha girya o zari mein hum

chashm o dil bina hai apne roz o shab ai marduman

garche sote hain ba-zahir par hain bedari mein hum

dosh par raKHt-e-safar bandhe hai kya ghuncha saba

dekhte hain sab ko yan jaise ki tayyari mein hum

kab talak be-did se ya rab rakhen chashm-e-wafa

lag rahe hain aaj kal to dil ki gham-KHwari mein hum

dekh kar aaina kya kahta hai yaro ab wo shoKH

mah se sad chand behtar hain ada-dari mein hum

ai 'zafar' likh tu ghazal bahr o qawafi pher kar

KHama-e-dur-rez se hain ab guhar-bari mein hum

(790) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mar Gae Ai Wah Unki Naz-bardari Mein Hum In English By Famous Poet Bahadur Shah Zafar. Mar Gae Ai Wah Unki Naz-bardari Mein Hum is written by Bahadur Shah Zafar. Read famous Poem Mar Gae Ai Wah Unki Naz-bardari Mein Hum for youth and Student by Bahadur Shah Zafar. Free Download Mar Gae Ai Wah Unki Naz-bardari Mein Hum in PDF.