Pan Kha Kar Surma Ki Tahrir Phir Khinchi To Kya

pan kha kar surma ki tahrir phir khinchi to kya

jab mera KHun ho chuka shamshir phir khinchi to kya

ai muhawwis jab ki zar tere nasibon mein nahin

tu ne mehnat bhi pai-e-iksir phir khinchi to kya

gar khinche sine se nawak ruh tu qalib se khinch

ai ajal jab khinch gaya wo tir phir khinchi to kya

khinchta tha panw mera pahle hi zanjir se

ai junun tu ne meri zanjir phir khinchi to kya

dar hi par us ne khincha jab sar-e-bazar-e-ishq

lash bhi meri pai-e-tashhir phir khinchi to kya

khinch ab nala koi aisa ki ho us ko asar

tu ne ai dil aah-e-pur-tasir phir khinchi to kya

chahiye us ka tasawwur hi se naqsha khinchna

dekh kar taswir ko taswir phir khinchi to kya

khinch le awwal hi se dil ki inan-e-iKHtiyar

tu ne gar ai aashiq-e-dil-gir phir khinchi to kya

kya hua aage uThae gar 'zafar' ehsan-e-aql

aur agar ab minnat-e-tadbir phir khinchi to kya

(819) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Pan Kha Kar Surma Ki Tahrir Phir Khinchi To Kya In English By Famous Poet Bahadur Shah Zafar. Pan Kha Kar Surma Ki Tahrir Phir Khinchi To Kya is written by Bahadur Shah Zafar. Read famous Poem Pan Kha Kar Surma Ki Tahrir Phir Khinchi To Kya for youth and Student by Bahadur Shah Zafar. Free Download Pan Kha Kar Surma Ki Tahrir Phir Khinchi To Kya in PDF.