Pan Ki SurKHi Nahin Lab Par But-e-KHun-KHwar Ke

pan ki surKHi nahin lab par but-e-KHun-KHwar ke

lag gaya hai KHun-e-ashiq munh ko is talwar ke

KHal-e-ariz dekh lo halqe mein zulf-e-yar ke

mar-e-mohra gar na dekha ho dahan mein mar ke

anjum-e-taban falak par jaanti hai jis ko KHalq

kuchh sharare hain wo meri aah-e-atish-bar ke

tuba-e-jannat se us ko kaam kya hai hur-wash

jo ki hain aasuda sae mein teri diwar ke

puchhte ho haal kya mera qimar-e-ishq mein

jhaD baiTha hath main naqd-e-dil-o-din haar ke

ye hui tasir ishq-e-koh-kan se sang-e-ab

ashk jari ab talak chashmon se hain kohsar ke

hai wo be-wahdat ki jo samjhe hai kufr o din mein farq

rakhti hai tasbih rishta tar se zunnar ke

wada-e-didar jo Thahra qayamat par to yan

roz hoti hai qayamat shauq mein didar ke

hoshiyari hai yahi kije 'zafar' is se hazar

dekhiye jis ko nashe mein baada-e-pindar ke

(816) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Pan Ki SurKHi Nahin Lab Par But-e-KHun-KHwar Ke In English By Famous Poet Bahadur Shah Zafar. Pan Ki SurKHi Nahin Lab Par But-e-KHun-KHwar Ke is written by Bahadur Shah Zafar. Read famous Poem Pan Ki SurKHi Nahin Lab Par But-e-KHun-KHwar Ke for youth and Student by Bahadur Shah Zafar. Free Download Pan Ki SurKHi Nahin Lab Par But-e-KHun-KHwar Ke in PDF.