Mohabbat Chahiye Baham Hamein Bhi Ho Tumhein Bhi Ho

mohabbat chahiye baham hamein bhi ho tumhein bhi ho

KHushi ho is mein ya ho gham hamein bhi ho tumhein bhi ho

ghanimat tum ise samjho ki is KHum-KHane mein yaro

nasib ik-dam dil-e-KHurram hamein bhi ho tumhein bhi ho

dilao hazrat-e-dil tum na yaad-e-KHat-e-sabz us ka

kahin aisa na ho ye sam hamein bhi ho tumhein bhi ho

hamesha chahta hai dil ki mil kar kije mai-noshi

mayassar jam-e-mai-e-jam-jam hamein bhi ho tumhein bhi ho

hum apna ishq chamkaen tum apna husn chamkao

ki hairan dekh kar aalam hamein bhi ho tumhein bhi ho

rahe hirs-o-hawa daim azizo sath jab apne

na kyunkar fikr-e-besh-o-kam hamein bhi ho tumhein bhi ho

'zafar' se kahta hai majnun kahin dard-e-dil mahzun

jo gham se fursat ab ek dam hamein bhi ho tumhein bhi ho

(933) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mohabbat Chahiye Baham Hamein Bhi Ho Tumhein Bhi Ho In English By Famous Poet Bahadur Shah Zafar. Mohabbat Chahiye Baham Hamein Bhi Ho Tumhein Bhi Ho is written by Bahadur Shah Zafar. Read famous Poem Mohabbat Chahiye Baham Hamein Bhi Ho Tumhein Bhi Ho for youth and Student by Bahadur Shah Zafar. Free Download Mohabbat Chahiye Baham Hamein Bhi Ho Tumhein Bhi Ho in PDF.