Baat Karni Mujhe Mushkil Kabhi Aisi To Na Thi

baat karni mujhe mushkil kabhi aisi to na thi

jaisi ab hai teri mahfil kabhi aisi to na thi

le gaya chhin ke kaun aaj tera sabr o qarar

be-qarari tujhe ai dil kabhi aisi to na thi

us ki aankhon ne KHuda jaane kiya kya jadu

ki tabiat meri mail kabhi aisi to na thi

aks-e-ruKHsar ne kis ke hai tujhe chamkaya

tab tujh mein mah-e-kaamil kabhi aisi to na thi

ab ki jo rah-e-mohabbat mein uThai taklif

saKHt hoti hamein manzil kabhi aisi to na thi

pa-e-kuban koi zindan mein naya hai majnun

aati aawaz-e-salasil kabhi aisi to na thi

nigah-e-yar ko ab kyun hai taghaful ai dil

wo tere haal se ghafil kabhi aisi to na thi

chashm-e-qatil meri dushman thi hamesha lekin

jaisi ab ho gai qatil kabhi aisi to na thi

kya sabab tu jo bigaDta hai 'zafar' se har bar

KHu teri hur-shamail kabhi aisi to na thi

(985) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Baat Karni Mujhe Mushkil Kabhi Aisi To Na Thi In English By Famous Poet Bahadur Shah Zafar. Baat Karni Mujhe Mushkil Kabhi Aisi To Na Thi is written by Bahadur Shah Zafar. Read famous Poem Baat Karni Mujhe Mushkil Kabhi Aisi To Na Thi for youth and Student by Bahadur Shah Zafar. Free Download Baat Karni Mujhe Mushkil Kabhi Aisi To Na Thi in PDF.