Hai Dil Ko Jo Yaad Aai Falak-e-pir Kisi Ki

hai dil ko jo yaad aai falak-e-pir kisi ki

aankhon ke tale phirti hai taswir kisi ki

girya bhi hai nala bhi hai aur aah-o-fughan bhi

par dil mein hui us ke na tasir kisi ki

hath aae hai kya KHak tere KHak-e-kaf-e-pa

jab tak ki na qismat mein ho iksir kisi ki

yaro wo hai bigDa hua baaten na banao

kuchh pesh nahin jaane ki taqrir kisi ki

nazan na ho munim ki jahan tera mahal hai

howegi yahan pahle bhi tamir kisi ki

meri girah-e-dil na khuli hai na khulegi

jab tak na khule zulf-e-girah-gir kisi ki

aata bhi agar hai to wo phir jae hai ulTa

jis waqt ulaT jae hai taqdir kisi ki

is abru o mizhgan se 'zafar' tez ziyaada

KHanjar na kisi ka hai na shamshir kisi ki

jo dil se udhar jae nazar dil ho giraftar

mujrim ho koi aur ho taqsir kisi ki

(723) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hai Dil Ko Jo Yaad Aai Falak-e-pir Kisi Ki In English By Famous Poet Bahadur Shah Zafar. Hai Dil Ko Jo Yaad Aai Falak-e-pir Kisi Ki is written by Bahadur Shah Zafar. Read famous Poem Hai Dil Ko Jo Yaad Aai Falak-e-pir Kisi Ki for youth and Student by Bahadur Shah Zafar. Free Download Hai Dil Ko Jo Yaad Aai Falak-e-pir Kisi Ki in PDF.