Nahin Hai Ashk Se Ye KHun-e-nab Aankhon Mein

nahin hai ashk se ye KHun-e-nab aankhon mein

bhara hai rang se tere shahab aankhon mein

kahan nikal sake aansu nazar ko jae nahin

rakha hun shakl ko teri main dab aankhon mein

uluhi kis ki tajalli se ho gaya hun do-chaar

jhamak raha hai sada mahtab aankhon mein

hue hain jab se wo kaif-e-nigah ke aaina-dar

bajae ashk bhari hai sharab aankhon mein

amal se apni zaban kis tarah na ho be-kar

jahan ho rasm sawal-o-jawab aankhon mein

hua hun jab se main itlaq us ke se aagah

jahan main dekhun hai wan bu-turab aankhon mein

(618) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nahin Hai Ashk Se Ye KHun-e-nab Aankhon Mein In English By Famous Poet Baqar Agah Vellori. Nahin Hai Ashk Se Ye KHun-e-nab Aankhon Mein is written by Baqar Agah Vellori. Read famous Poem Nahin Hai Ashk Se Ye KHun-e-nab Aankhon Mein for youth and Student by Baqar Agah Vellori. Free Download Nahin Hai Ashk Se Ye KHun-e-nab Aankhon Mein in PDF.