Adu Ko Dekh Ke Jab Wo Idhar Ko Dekhte Hain

adu ko dekh ke jab wo idhar ko dekhte hain

nazar chara ke hum un ki nazar ko dekhte hain

wo rakh ke hath se aaina tan ke baiTh gae

dahan ko dekh chuke ab kamar ko dekhte hain

kisi ke husn se ye hum ko bad-gumani hai

ki pahle nama se hum nama-bar ko dekhte hain

ye imtihan-e-kashish husn-o-ishq ka hai bana

na hum udhar ko na ab wo idhar ko dekhte hain

kabhi wo aaine mein dekhte hain apni shakl

kabhi wo 'beKHud'-e-ashufta-sar ko dekhte hain

(696) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Adu Ko Dekh Ke Jab Wo Idhar Ko Dekhte Hain In English By Famous Poet Bekhud Dehlvi. Adu Ko Dekh Ke Jab Wo Idhar Ko Dekhte Hain is written by Bekhud Dehlvi. Read famous Poem Adu Ko Dekh Ke Jab Wo Idhar Ko Dekhte Hain for youth and Student by Bekhud Dehlvi. Free Download Adu Ko Dekh Ke Jab Wo Idhar Ko Dekhte Hain in PDF.