Aisa Bana Diya Tujhe Qudrat KHuda Ki Hai

aisa bana diya tujhe qudrat KHuda ki hai

kis husn ka hai husn ada kis ada ki hai

chashm-e-siyah-e-yar se sazish haya ki hai

laila ke sath mein ye saheli bala ki hai

taswir kyun dikhaen tumhein nam kyun bataen

lae hain hum kahin se kisi bewafa ki hai

andaz mujh se aur hain dushman se aur Dhang

pahchan mujh ko apni parai qaza ki hai

maghrur kyun hain aap jawani par is qadar

ye mere nam ki hai ye meri dua ki hai

dushman ke ghar se chal ke dikha do juda juda

ye bankpan ki chaal ye naz-o-ada ki hai

rah rah ke le rahi hai mere dil mein chuTkiyan

phisli hui girah tere band-e-qaba ki hai

gardan muDi nigah laDi baat kuchh na ki

shoKHi to KHair aap ki tamkin bala ki hai

hoti hai roz baada-kashon ki dua qubul

ai mohtasib ye shan-e-karimi KHuda ki hai

jitne gile the un ke wo sab dil se dhul gae

jhepi hui nigah talafi jafa ki hai

chhupta hai KHun bhi kahin muTThi to kholiye

rangat yahi hina ki yahi bu hina ki hai

kah do ki be-wazu na chhue us ko mohtasib

botal mein band ruh kisi parsa ki hai

main imtihan de ke unhen kyun na mar gaya

ab ghair se bhi un ko tamanna wafa ki hai

dekho to ja ke hazrat-e-'beKHud' na hun kahin

dawat sharab-KHane mein ek parsa ki hai

(1073) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aisa Bana Diya Tujhe Qudrat KHuda Ki Hai In English By Famous Poet Bekhud Dehlvi. Aisa Bana Diya Tujhe Qudrat KHuda Ki Hai is written by Bekhud Dehlvi. Read famous Poem Aisa Bana Diya Tujhe Qudrat KHuda Ki Hai for youth and Student by Bekhud Dehlvi. Free Download Aisa Bana Diya Tujhe Qudrat KHuda Ki Hai in PDF.