Andhera MiTta Nahin Hai MiTana PaDta Hai

andhera miTta nahin hai miTana paDta hai

bujhe charagh ko phir se jalana paDta hai

ye aur baat hai ghabra raha hai dil warna

ghamon ka bojh to sab ko uThana paDta hai

kabhi kabhi to in ashkon ki aabru ke liye

na chahte hue bhi muskurana paDta hai

ab apni baat ko kahna bahut hi mushkil hai

har ek baat ko kitna ghumana paDta hai

wagarna guftugu karti nahin ye KHamoshi

har ek sada ko hamein chup karana paDta hai

ab apne pas to hum KHud ko bhi nahin milte

hamein bhi KHud se bahut dur jaana paDta hai

ek aisa waqt bhi aata hai zindagi mein kabhi

jab apne sae se pichha chhuDana paDta hai

bas ek jhuT kabhi aaine se bola tha

ab apne aap se chehra chhupana paDta hai

hamare haal pe ab chhoD de hamein duniya

ye bar bar hamein kyun batana paDta hai

(1155) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Andhera MiTta Nahin Hai MiTana PaDta Hai In English By Famous Poet Bharat Bhushan Pant. Andhera MiTta Nahin Hai MiTana PaDta Hai is written by Bharat Bhushan Pant. Read famous Poem Andhera MiTta Nahin Hai MiTana PaDta Hai for youth and Student by Bharat Bhushan Pant. Free Download Andhera MiTta Nahin Hai MiTana PaDta Hai in PDF.