Kahin Jaise Main Koi Chiz Rakh Kar Bhul Jata Hun

kahin jaise main koi chiz rakh kar bhul jata hun

pahan leta hun jab dastar to sar bhul jata hun

wagarna to mujhe sab yaad rahta hai siwa is ke

kahan hun kaun hun kyun hun main akasr bhul jata hun

mere is haal se gumrah ho jate hain rahbar bhi

main akasr raste mein apna hi ghar bhul jata hun

dikhata phir raha hun sab ko apne zaKHm-e-sar lekin

mere hathon mein bhi hai ek patthar bhul jata hun

nikal jata hun KHud apne hisar-e-zat se bahar

main akasr panw phailane mein chadar bhul jata hun

kabhi jab sochne lagta hun pas-e-manzar ke bare mein

to mere samne ho koi manzar bhul jata hun

kabhi to itna baDh jati hai meri pyas ki shiddat

mere chaaron taraf hai ek samundar bhul jata hun

(721) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kahin Jaise Main Koi Chiz Rakh Kar Bhul Jata Hun In English By Famous Poet Bharat Bhushan Pant. Kahin Jaise Main Koi Chiz Rakh Kar Bhul Jata Hun is written by Bharat Bhushan Pant. Read famous Poem Kahin Jaise Main Koi Chiz Rakh Kar Bhul Jata Hun for youth and Student by Bharat Bhushan Pant. Free Download Kahin Jaise Main Koi Chiz Rakh Kar Bhul Jata Hun in PDF.