Chahaton Ke KHwab Ki Tabir Thi Bilkul Alag

chahaton ke KHwab ki tabir thi bilkul alag

aur jina paD rahi hai zindagi bilkul alag

wo alag ehsas tha jab kashtiyan maujon mein thin

lag rahi hai ab kinare se nadi bilkul alag

aur kuchh mahrumiyan bhi zindagi ke sath hain

har kami se hai magar teri kami bilkul alag

ek an-jaani sada ne kya pata kya kah diya

ruTh kar baiThi hai sab se KHamushi bilkul alag

lafz ki duniya alag shahr-e-maani aur hai

main alag hun mujh se meri shaeri bilkul alag

aaine mein muskuraata mera hi chehra magar

aaine se jhankti be-chehragi bilkul alag

sochta hun rang kitne hain mere kirdar mein

main kabhi apni tarah hun aur kabhi bilkul alag

sab andheron se juda dil ka andhera jis tarah

har ujale se hai ghar ki raushni bilkul alag

zindagi ki lai bikharne ka sabab shayad yahi

saz ki dhun se hai meri naghmagi bilkul alag

mujh ko in sairabiyon ne ek sahra kar diya

aaj bhi lekin hai meri tishnagi bilkul alag

(1066) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chahaton Ke KHwab Ki Tabir Thi Bilkul Alag In English By Famous Poet Bharat Bhushan Pant. Chahaton Ke KHwab Ki Tabir Thi Bilkul Alag is written by Bharat Bhushan Pant. Read famous Poem Chahaton Ke KHwab Ki Tabir Thi Bilkul Alag for youth and Student by Bharat Bhushan Pant. Free Download Chahaton Ke KHwab Ki Tabir Thi Bilkul Alag in PDF.