Ishq Ka Rog To Wirse Mein Mila Tha Mujhko

ishq ka rog to wirse mein mila tha mujh ko

dil dhaDakta hua sine mein mila tha mujh ko

han ye kafir usi hujre mein mila tha mujh ko

ek momin jahan sajde mein mila tha mujh ko

us ko bhi meri tarah apni wafa par tha yaqin

wo bhi shayad isi dhoke mein mila tha mujh ko

us ne hi bazm ke aadab sikhae the mujhe

wo jo ek shaKHs akele mein mila tha mujh ko

manzil-e-hosh pe ek main hi nahin tha tanha

yan to har shaKHs hi nashshe mein mila tha mujh ko

ye bhi ek aib tha meri hi nazar ka shayad

roz kuchh farq sa chehre mein mila tha mujh ko

aise haalat mein kya us se gila karta main

raat suraj bhi andhere mein mila tha mujh ko

main agar Dub na jata to wahan kya karta

ek samundar tha jo qatre mein mila tha mujh ko

ruh ki pyas bujhana koi aasan na tha

saf pani baDe gahre mein mila tha mujh ko

sach to ye hai ki yahan koi bhi manzil hi na thi

wo bhi rasta tha jo raste mein mila tha mujh ko

(2155) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ishq Ka Rog To Wirse Mein Mila Tha Mujhko In English By Famous Poet Bharat Bhushan Pant. Ishq Ka Rog To Wirse Mein Mila Tha Mujhko is written by Bharat Bhushan Pant. Read famous Poem Ishq Ka Rog To Wirse Mein Mila Tha Mujhko for youth and Student by Bharat Bhushan Pant. Free Download Ishq Ka Rog To Wirse Mein Mila Tha Mujhko in PDF.