Samundaron Ko Bhi Dariya Samajh Rahe Hain Hum

samundaron ko bhi dariya samajh rahe hain hum

ye apne-ap ko ab kya samajh rahe hain hum

hamari rah mein hael jo ek andhera hai

use bhi apna hi saya samajh rahe hain hum

yahin talak hai rasai hamari aankhon ki

ki KHadd-o-KHal ko chehra samajh rahe hain hum

hamari baat kisi ki samajh mein kyun aati

KHud apni baat ko kitna samajh rahe hain hum

ab apne dard ko sahna bahut hi mushkil hai

zara hai zaKHm ko gahra samajh rahe hain hum

abhi fuzul hai manzil ki baat bhi karna

abhi to logon se rasta samajh rahe hain hum

bas ek raat Thaharne ka ye natija hai

sara-e-fani ko duniya samajh rahe hain hum

(846) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Samundaron Ko Bhi Dariya Samajh Rahe Hain Hum In English By Famous Poet Bharat Bhushan Pant. Samundaron Ko Bhi Dariya Samajh Rahe Hain Hum is written by Bharat Bhushan Pant. Read famous Poem Samundaron Ko Bhi Dariya Samajh Rahe Hain Hum for youth and Student by Bharat Bhushan Pant. Free Download Samundaron Ko Bhi Dariya Samajh Rahe Hain Hum in PDF.