Kab Tak Gardish Mein Rahna Hai Kuchh To Bata Ayyam Mujhe

kab tak gardish mein rahna hai kuchh to bata ayyam mujhe

kashti ko sahil mil jata aur thoDa aaram mujhe

dasht nahin hai ye to mera ghar hai lekin jaane kyun

uljhae rahti hai ek wahshat si subh-o-sham mujhe

apni zat se bahar aana ab to meri majburi hai

warna meri ye tanhai kar degi bad-nam mujhe

mumkin hai ek din main in rishton se munkir ho jaun

aur agar aisa hota hai mat dena ilzam mujhe

mere dil ka dard suna to us ki aankhen bhar aain

is se behtar mil nahin sakte apne munasib dam mujhe

zehn ko ye aawara sochen kis manzil par le aain

kitni mushkil se yaad aaya aaj tera bhi nam mujhe

nind se israr na kartin shayad meri aankhen bhi

pahle se malum jo hota KHwabon ka anjam mujhe

dasht-e-talab se kah do mujh ko meri manzil batla de

man liya hai ab to sarabon ne bhi tishna-kaam mujhe

ek muddat se khoya hua tha main apni hi duniya mein

tum ko dekha to yaad aaya tum se tha kuchh kaam mujhe

(728) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kab Tak Gardish Mein Rahna Hai Kuchh To Bata Ayyam Mujhe In English By Famous Poet Bharat Bhushan Pant. Kab Tak Gardish Mein Rahna Hai Kuchh To Bata Ayyam Mujhe is written by Bharat Bhushan Pant. Read famous Poem Kab Tak Gardish Mein Rahna Hai Kuchh To Bata Ayyam Mujhe for youth and Student by Bharat Bhushan Pant. Free Download Kab Tak Gardish Mein Rahna Hai Kuchh To Bata Ayyam Mujhe in PDF.