Kab Talak Chalna Hai Yun Hi Ham-safar Se Baat Kar

kab talak chalna hai yun hi ham-safar se baat kar

manzilen kab tak milengi rahguzar se baat kar

tujh ko mil jaega tere sab sawalon ka jawab

kashtiyan kyun Dub jati hain bhanwar se baat kar

kab talak chhupta rahega yun hi apne-ap se

aaine ke ru-ba-ru aa apne Dar se baat kar

baDh chuki hain ab teri fikr-o-nazar ki wusaten

jugnuon ko chhoD ab shams o qamar se baat kar

is tarah to aur bhi teri ghuTan baDh jaegi

ham-nawa koi nahin to baam-o-dar se baat kar

dard kya hai ye samajhna hai to apne dil se puchh

aansuon ki baat hai to chashm-e-tar se baat kar

har safar manzar se pas-e-manzar talak to kar liya

dekhna kya chahti hai ab nazar se baat kar

dhup kaise sae mein tabdil hoti hai yahan

is hunar ko sikhna hai to shajar se baat kar

zaKHm poshida raha to dard baDhta jaega

be-takalluf ho ke apne chaara-gar se baat kar

(745) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kab Talak Chalna Hai Yun Hi Ham-safar Se Baat Kar In English By Famous Poet Bharat Bhushan Pant. Kab Talak Chalna Hai Yun Hi Ham-safar Se Baat Kar is written by Bharat Bhushan Pant. Read famous Poem Kab Talak Chalna Hai Yun Hi Ham-safar Se Baat Kar for youth and Student by Bharat Bhushan Pant. Free Download Kab Talak Chalna Hai Yun Hi Ham-safar Se Baat Kar in PDF.