Daur-e-nigah-e-saqi-e-mastana Ek Hai

daur-e-nigah-e-saqi-e-mastana ek hai

paimane do hain gardish-e-paimana ek hai

pita hun ghunT ghunT mein sanson ke sath sath

saqi ka aur umr ka paimana ek hai

jis ashk mein ho ashk-e-nadamat wahi hai ashk

moti bahut hain gauhar-e-yak-dana ek hai

kasrat ki shan aur hai wahdat ka rang aur

aabaad hai jo ek to virana ek hai

tafriq husn-e-sham-o-gul mein zara nahin

soz-o-gudaz-e-bulbul-o-parwana ek hai

jab sun liya firaq ka qissa to kah diya

majnun ka aur aap ka afsana ek hai

tum ko agar hai apni dil-araiyon pe naz

'kaifi' bhi apne nam ka mastana ek hai

(610) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Daur-e-nigah-e-saqi-e-mastana Ek Hai In English By Famous Poet Chandar Bhan Kaifi Delhwi. Daur-e-nigah-e-saqi-e-mastana Ek Hai is written by Chandar Bhan Kaifi Delhwi. Read famous Poem Daur-e-nigah-e-saqi-e-mastana Ek Hai for youth and Student by Chandar Bhan Kaifi Delhwi. Free Download Daur-e-nigah-e-saqi-e-mastana Ek Hai in PDF.