Nai-dehli

kya rang mere shahr ka ganga-jamani hai

dehli nai ujDi hui dehli mein bani hai

qabron ka pata hai na mazaron ka Thikana

ye shahr ki tamir hai ya gor-kani hai

arbab-e-mashahir ka lene ke liye nam

kuchh daur-e-guzishta ki bhi tariKH chhani hai

'irwin' ka kahin but to cliwe ki kahin street

maidan mein sabze se bahaar-e-chamani hai

rahte hain yahan shahi dafatir ke mulazim

jin ko na kuchh ehsas-e-gharibul-watani hai

aaina-e-KHurshid ko bhi kaT kar rakh de

jo KHak ka zarra hai wo hire ki kani hai

kya kahte hain wo bekas-o-nachaar ki jin ko

is shahr ke basne se gham-e-be-watani hai

kheti jo nahin bhik pe hai in ka guzara

hathon mein hi kashkol gale mein kafni hai

ye rang bhi kuchh din mein badal jaega 'kaifi'

kyun ye nai-dehli sabab-e-dil-shikani hai

(762) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nai-dehli In English By Famous Poet Chandar Bhan Kaifi Delhwi. Nai-dehli is written by Chandar Bhan Kaifi Delhwi. Read famous Poem Nai-dehli for youth and Student by Chandar Bhan Kaifi Delhwi. Free Download Nai-dehli in PDF.