Jab Bhi Nazm-e-mai-kada Badla Gaya

jab bhi nazm-e-mai-kada badla gaya

ek na ek jam-e-hasin toDa gaya

jab safina mauj se Takra gaya

naKHuda ko bhi KHuda yaad aa gaya

main ne chheDa qissa-e-jaur-e-falak

jaane kyun un ko pasina aa gaya

dekh kar un ki jafaon ka KHulus

main wafa ke nam par sharma gaya

aap ab aae aansu ponchhne

jab mere daman pe dhabba aa gaya

(905) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jab Bhi Nazm-e-mai-kada Badla Gaya In English By Famous Poet Fana Nizami Kanpuri. Jab Bhi Nazm-e-mai-kada Badla Gaya is written by Fana Nizami Kanpuri. Read famous Poem Jab Bhi Nazm-e-mai-kada Badla Gaya for youth and Student by Fana Nizami Kanpuri. Free Download Jab Bhi Nazm-e-mai-kada Badla Gaya in PDF.