Kashan Kashan Liye Jata Hai Ku-e-yar Mujhe

kashan kashan liye jata hai ku-e-yar mujhe

main kya karun nahin dil par jo iKHtiyar mujhe

kisi ki madh-bhari aankhon se kya mili aankhen

samajh rahe hain mere dost baada-KHwar mujhe

mujhe KHabar hai ki ab tujh ko pa nahin sakta

to yaad kyun teri aati hai bar bar mujhe

tere KHayal mein KHud ko bhula diya itna

na mil sakegi kabhi teri rahguzar mujhe

ajal se puchh lo aane mein der kyun kar di

ki nagawar hai is waqt intizar mujhe

na aae the to tamanna thi kyun nahin aae

wo aae chhoD gae kar ke be-qarar mujhe

'hazin' tamanna hai ab mujh ko ji se jaane ki

ki jite-ji to kisi ka mila na pyar mujhe

(689) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kashan Kashan Liye Jata Hai Ku-e-yar Mujhe In English By Famous Poet Hans Raj Sachdev 'hazii.n'. Kashan Kashan Liye Jata Hai Ku-e-yar Mujhe is written by Hans Raj Sachdev 'hazii.n'. Read famous Poem Kashan Kashan Liye Jata Hai Ku-e-yar Mujhe for youth and Student by Hans Raj Sachdev 'hazii.n'. Free Download Kashan Kashan Liye Jata Hai Ku-e-yar Mujhe in PDF.