Na Wo Walwale Hain Dil Mein Na Wo Aalam-e-jawani

na wo walwale hain dil mein na wo aalam-e-jawani

koi le gaya hai mujh se mera daur-e-shadmani

wo bhala chuke hain mujh ko main bhula chuka hun un ko

kabhi pa saki na unwan mere pyar ki kahani

shab-e-hijr ki taDap ne wo maza diya hai mujh ko

ki duaen mangta hun ye taDap ho jawedani

tere kan sun chuke hain nae git bul-hawas ke

mujhe yaad hai wafa ki wahi dastan purani

tujhe kho diya hai pa kar ye meri hai bad-nasibi

kabhi tum bata to dete mujhe wajh-e-bad-gumani

teri mehrbaniyon ki kabhi aarzu thi dil mein

wo maqam aa gaya hai ki garan hai mehrbani

tere pyar mein 'hazin' ko jo mila hai dagh-e-furqat

mere pas ab wahi hai tere pyar ki nishani

(713) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Wo Walwale Hain Dil Mein Na Wo Aalam-e-jawani In English By Famous Poet Hans Raj Sachdev 'hazii.n'. Na Wo Walwale Hain Dil Mein Na Wo Aalam-e-jawani is written by Hans Raj Sachdev 'hazii.n'. Read famous Poem Na Wo Walwale Hain Dil Mein Na Wo Aalam-e-jawani for youth and Student by Hans Raj Sachdev 'hazii.n'. Free Download Na Wo Walwale Hain Dil Mein Na Wo Aalam-e-jawani in PDF.