Unhen Dekhte Hi Fida Ho Gae Hum

unhen dekhte hi fida ho gae hum

mohabbat mein yun mubtala ho gae hum

mere lab pe aai tamanna to bole

haTo chhoD jao KHafa ho gae hum

zamane se chhup kar mile the kisi se

zamane ne dekha juda ho gae hum

kabhi tu ne socha kabhi tu ne samjha

tere hijr mein kya se kya ho gae hum

rah-e-ishq mein thak gae chalte chalte

to rahi se KHud rahnuma ho gae hum

tabassum hansi be-ruKHi be-hijabi

teri har ada par fida ho gae hum

'hazin' koi itna bata de KHuda-ra

jawani mein kyun parsa ho gae hum

(697) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Unhen Dekhte Hi Fida Ho Gae Hum In English By Famous Poet Hans Raj Sachdev 'hazii.n'. Unhen Dekhte Hi Fida Ho Gae Hum is written by Hans Raj Sachdev 'hazii.n'. Read famous Poem Unhen Dekhte Hi Fida Ho Gae Hum for youth and Student by Hans Raj Sachdev 'hazii.n'. Free Download Unhen Dekhte Hi Fida Ho Gae Hum in PDF.