Ahl-e-hawas Ke Hathon Na Ye Karobar Ho

ahl-e-hawas ke hathon na ye karobar ho

aabaad hon sitare zamin regzar ho

ek shan ye bhi jine ki hai ji rahe hain log

tufan se lagao samundar se pyar ho

haalat mein kabhi ye tawazun dikhai de

gham mustaqil rahe na KHushi mustaar ho

nafrat ke sang-rezon ki barish thame kabhi

dair-o-haram ke beach safar KHush-gawar ho

sadiyon se ghul rahi hai isi fikr mein hayat

rahzan se pak zist ki har rahguzar ho

baad-e-sumum luT le chehron ki tazgi

agli sadi ki aisi na fasl-e-bahaar ho

'najmi' jo apne ahd ki tariKH ban gae

un shairon mein kash mera bhi shumar ho

(783) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ahl-e-hawas Ke Hathon Na Ye Karobar Ho In English By Famous Poet Hasan Najmi Sikandarpuri. Ahl-e-hawas Ke Hathon Na Ye Karobar Ho is written by Hasan Najmi Sikandarpuri. Read famous Poem Ahl-e-hawas Ke Hathon Na Ye Karobar Ho for youth and Student by Hasan Najmi Sikandarpuri. Free Download Ahl-e-hawas Ke Hathon Na Ye Karobar Ho in PDF.