Bite Hue Lamhon Ke Jo Girwida Rahe Hain

bite hue lamhon ke jo girwida rahe hain

haalat ke hathon wahi ranjida rahe hain

in jalwon se mamur hai duniya mere dil ki

aainon ki basti mein jo nadida rahe hain

rindadan-e-bala-nosh ka aalam hai nirala

saqi ki inayat pe bhi nam-dida rahe hain

barson gham-e-haalat ki dahliz pe kuchh log

gul kar ke diye zehnon ke KHwabida rahe hain

har daur mein insan ne jiti hai ye bazi

har daur mein kuchh masale pechida rahe hain

insan ki surat mein kai rang ke patthar

hum sine pe rakkhe hue KHwabida rahe hain

mujrim ki safon mein hain wo mazlum bhi jin se

'najmi' ne jo kuchh puchha to sanjida rahe hain

(817) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bite Hue Lamhon Ke Jo Girwida Rahe Hain In English By Famous Poet Hasan Najmi Sikandarpuri. Bite Hue Lamhon Ke Jo Girwida Rahe Hain is written by Hasan Najmi Sikandarpuri. Read famous Poem Bite Hue Lamhon Ke Jo Girwida Rahe Hain for youth and Student by Hasan Najmi Sikandarpuri. Free Download Bite Hue Lamhon Ke Jo Girwida Rahe Hain in PDF.