Dil Ko Har Lamha Bachate Rahe Jazbaat Se Hum

dil ko har lamha bachate rahe jazbaat se hum

itne majbur rahe hain kabhi haalat se hum

nashsha-e-mai se kahin pyas bujhi hai dil ki

tishnagi aur baDha lae KHarajat se hum

aaj to mil ke bhi jaise na mile hon tujh se

chaunk uThte the kabhi teri mulaqat se hum

ishq mein aaj bhi hai nim-nigahi ka chalan

pyar karte hain usi husn-e-riwayat se hum

markaz-e-dida-e-KHuban-e-jahan hain bhi to kya

ek nisbat bhi to rakhte hain teri zat se hum

(820) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Ko Har Lamha Bachate Rahe Jazbaat Se Hum In English By Famous Poet Jaan Nisar Akhtar. Dil Ko Har Lamha Bachate Rahe Jazbaat Se Hum is written by Jaan Nisar Akhtar. Read famous Poem Dil Ko Har Lamha Bachate Rahe Jazbaat Se Hum for youth and Student by Jaan Nisar Akhtar. Free Download Dil Ko Har Lamha Bachate Rahe Jazbaat Se Hum in PDF.