Na To Dil Ka Na Jaan Ka Daftar Hai

na to dil ka na jaan ka daftar hai

zindagi ek ziyan ka daftar hai

paDh raha hun main kaghzat-e-wajud

aur nahin aur han ka daftar hai

koi soche to soz-e-karb-e-jaan

sara daftar guman ka daftar hai

hum mein se koi to kare israr

ki zamin aasman ka daftar hai

hijr tatil-e-jism-o-jaan hai miyan

wasl jism aur jaan ka daftar hai

wo jo daftar hai aasmani-tar

wo miyan ji yahan ka daftar hai

hai jo bud-o-nabud ka daftar

aaKHirash ye kahan ka daftar hai

jo haqiqat hai dam-ba-dam ki yaad

wo to ek dastan ka daftar hai

ho raha hai guzishtagan ka hisab

aur aaindagan ka daftar hai

(1908) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na To Dil Ka Na Jaan Ka Daftar Hai In English By Famous Poet Jaun Eliya. Na To Dil Ka Na Jaan Ka Daftar Hai is written by Jaun Eliya. Read famous Poem Na To Dil Ka Na Jaan Ka Daftar Hai for youth and Student by Jaun Eliya. Free Download Na To Dil Ka Na Jaan Ka Daftar Hai in PDF.