Ruh Pyasi Kahan Se Aati Hai

ruh pyasi kahan se aati hai

ye udasi kahan se aati hai

hai wo yak-sar supurdagi to bhala

bad-hawasi kahan se aati hai

wo ham-aghosh hai to phir dil mein

na-shanasi kahan se aati hai

ek zindan-e-be-dili aur sham

ye saba si kahan se aati hai

tu hai pahlu mein phir teri KHushbu

ho ke basi kahan se aati hai

dil hai shab-soKHta siwae ummid

tu nida si kahan se aati hai

main hun tujh mein aur aas hun teri

to nirasi kahan se aati hai

(5150) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ruh Pyasi Kahan Se Aati Hai In English By Famous Poet Jaun Eliya. Ruh Pyasi Kahan Se Aati Hai is written by Jaun Eliya. Read famous Poem Ruh Pyasi Kahan Se Aati Hai for youth and Student by Jaun Eliya. Free Download Ruh Pyasi Kahan Se Aati Hai in PDF.