Tujhse Gile Karun Tujhe Jaanan Manaun Main

tujh se gile karun tujhe jaanan manaun main

ek bar apne-ap mein aaun to aaun main

dil se sitam ki be-sar-o-kari hawa ko hai

wo gard uD rahi hai ki KHud ko ganwaun main

wo nam hun ki jis pe nadamat bhi ab nahin

wo kaam hain ki apni judai kamaun main

kyunkar ho apne KHwab ki aankhon mein wapsi

kis taur apne dil ke zamanon mein jaun main

ek rang si kaman ho KHushbu sa ek tir

marham si wardat ho aur zaKHm khaun main

shikwa sa ek daricha ho nashsha sa ek sukut

ho sham ek sharab si aur laDkhaDaun main

phir us gali se apna guzar chahta hai dil

ab us gali ko kaun si basti se laun main

(3009) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tujhse Gile Karun Tujhe Jaanan Manaun Main In English By Famous Poet Jaun Eliya. Tujhse Gile Karun Tujhe Jaanan Manaun Main is written by Jaun Eliya. Read famous Poem Tujhse Gile Karun Tujhe Jaanan Manaun Main for youth and Student by Jaun Eliya. Free Download Tujhse Gile Karun Tujhe Jaanan Manaun Main in PDF.