Is Qadar Hum Na-tawan-o-zar Hain
is qadar hum na-tawan-o-zar hain
bazu apne machhliyon ke KHar hain
chaak chaak apna gareban ho chuka
in dinon dast-e-junun bekar hain
rote hain ashkon ke badle KHun gar
abr hain hum lekin aatish-bar hain
jate hain gulshan se le o baghban
hum agar teri nazar mein KHar hain
aastin se pochhiye kahe ko ashk
ab to munh par zaKHm damn-dar hain
dekh kar tujh ko magar hairan hue
aaine jo pusht-bar-diwar hain
le uD ai wahshat ki apni panw ke
muntazir KHar-e-sar-e-diwar hain
aankhen hain KHunKHar teri ai masih
kya hai be-parhez ye bimar hain
KHud-baKHud apna janaza hai rawan
hum ye kis ke kushta-e-raftar hain
saya-e-KHanjar mein aaya KHwab-e-marg
wah kya talea mere bedar hain
hum hain ranjur apne ashk-o-ah se
hai buri aab-o-hawa bimar hain
ab to hai meinh ka barasna apne hath
aastinen abr-e-dariya-bar hain
sarw-o-shamsad-o-sanobar bagh mein
naqsha-ha-e-qamat-e-dildar hain
kaun hai bezar in rozon 'wazir'
hum jo apne zist se bezar hain
(372) Peoples Rate This