In Ashkon Ko Pani Kahna Bhul Nahin Nadani Hai

in ashkon ko pani kahna bhul nahin nadani hai

tan-man mein jo aag laga de ye to aisa pani hai

hijr ki ghaDiyan dekh chuke hain maut ka hum ko KHauf nahin

ye surat to dekhi-bhaali hai jaani-pahchani hai

kaise tum se ishq hua tha kya kya hum par bit rahi hai

sun lo to sachcha afsana warna ek kahani hai

muflis bandon par mat hansna dhan-daulat ke pahredaro

ye duniya hai is duniya ki har shai aani-jaani hai

shaiKH-o-barahman zahid-o-waiz buDhe-khusaT kya jaanen

bhul bhi ho jati hai is mein is ka nam jawani hai

(484) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

In Ashkon Ko Pani Kahna Bhul Nahin Nadani Hai In English By Famous Poet Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar. In Ashkon Ko Pani Kahna Bhul Nahin Nadani Hai is written by Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar. Read famous Poem In Ashkon Ko Pani Kahna Bhul Nahin Nadani Hai for youth and Student by Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar. Free Download In Ashkon Ko Pani Kahna Bhul Nahin Nadani Hai in PDF.