Jita Hun Jo Mar Mar Ke Ye Jina To Nahin Hai
jita hun jo mar mar ke ye jina to nahin hai
duniya mere ehsas ki duniya to nahin hai
kahne ko to hai dida-e-nargis mein bhi jadu
har aankh mein taswir-e-tamanna to nahin hai
ye husn ke jalwe ye fazaon ka tarannum
ye sham-e-chaman sham-e-kalisa to nahin hai
aaya hai dil-e-zar ko paigham-e-masarrat
ye bhi gham-e-farda ka taqaza to nahin hai
yun ruTh ke jaane pe main KHamosh hun lekin
ye baat mere dil ko gawara to nahin hai
har haal mein lazim hai mujhe pas-e-mohabbat
ye sach hai magar dil ka bharosa to nahin hai
bigDe the wo jis baat pe mujh se sar-e-mahfil
ai 'naqsh' dil us baat ko bhula to nahin hai
(411) Peoples Rate This