Zist Ki Har Rahguzar Par Hashr Barpa Chahiye

zist ki har rahguzar par hashr barpa chahiye

dil mein hangama nigahon mein tamasha chahiye

aansuon mein bhi tera jalwa huwaida chahiye

gham ke tufanon mein sirf itna sahaara chahiye

sham-e-gham di hai to ek taban tasawwur de mujhe

main andhera kya karun mujh ko ujala chahiye

meri hasti se barasne lag gai hain bijliyan

ab tere jalwon ke parde par bhi parda chahiye

be-niyazi aaj se karte hain hum bhi iKHtiyar

un ke harbe ko unhin par aazmana chahiye

sath sath is ko liye phirti hai kyun teri talash

dasht ki tanhai mein diwana tanha chahiye

dil par is tartib se ho barish-e-lutf-o-karam

sarKHushi ka naqsh gahra gham ka halqa chahiye

jazb ho kar rah gai hain aashiyan mein bijliyan

ab falak ko us ke hi shoalon se phunka chahiye

mast ho sakta hai tu 'maKHmur' lekin is tarah

aankh mein saghar lab-e-rangin mein sahba chahiye

(344) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zist Ki Har Rahguzar Par Hashr Barpa Chahiye In English By Famous Poet Makhmoor Jalandhari. Zist Ki Har Rahguzar Par Hashr Barpa Chahiye is written by Makhmoor Jalandhari. Read famous Poem Zist Ki Har Rahguzar Par Hashr Barpa Chahiye for youth and Student by Makhmoor Jalandhari. Free Download Zist Ki Har Rahguzar Par Hashr Barpa Chahiye in PDF.