Aashiqi Mein KHamushi Mumkin Hai Na-mumkin Nahin

aashiqi mein KHamushi mumkin hai na-mumkin nahin

kya karun mujh se to zabt-e-iltija mumkin nahin

talib-e-azar ishq aur husn aasaish-pasand

tu bhi ho mera sharik-e-muddaa mumkin nahin

main jo miT jaun to badlun rang-o-bu ka pairahan

aalam-e-ijad mein meri fana mumkin nahin

har jagah jalwe tere meri nazar ke sath hain

main pukarun tu na ho jalwa-numa mumkin nahin

sazish-e-dariya-o-sahil se to mumkin hai magar

mujh ko ye maujen Dubo den na-KHuda mumkin nahin

jis nazar ko mere dard-e-dil ka bhi irfan na ho

wo nazar ho jae aalam-ashna mumkin nahin

(392) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aashiqi Mein KHamushi Mumkin Hai Na-mumkin Nahin In English By Famous Poet Makhmoor Jalandhari. Aashiqi Mein KHamushi Mumkin Hai Na-mumkin Nahin is written by Makhmoor Jalandhari. Read famous Poem Aashiqi Mein KHamushi Mumkin Hai Na-mumkin Nahin for youth and Student by Makhmoor Jalandhari. Free Download Aashiqi Mein KHamushi Mumkin Hai Na-mumkin Nahin in PDF.