Mujhse Shakeb-e-qalb Ka Saman Na Ho Saka

mujh se shakeb-e-qalb ka saman na ho saka

us par bhi dil ka raaz numayan na ho saka

ye dil miTa miTa sa ye shoala bujha bujha

ek aaftab se bhi farozan na ho saka

suljhae teri zulf-e-pareshan ke bal magar

qaem nizam-e-alam-e-imkan na ho saka

tujh ko tere shabab ko rang-e-baqa diya

apni hi zist ka koi saman na ho saka

chhiDki tere tabassum pinhan ki chandni

KHalwat ka rang phir bhi daraKHshan na ho saka

baiTha raha jo gesu-e-mushkin ke sae mein

wo paemal gardish-e-dauran na ho saka

aaina aks-e-jalwa se TuTa nahin kabhi

dil yurish-e-jamal se hairan na ho saka

nashshe mein tere panw pe girta jabin ke bal

'maKHmur' itna kaif-ba-daman na ho saka

(392) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mujhse Shakeb-e-qalb Ka Saman Na Ho Saka In English By Famous Poet Makhmoor Jalandhari. Mujhse Shakeb-e-qalb Ka Saman Na Ho Saka is written by Makhmoor Jalandhari. Read famous Poem Mujhse Shakeb-e-qalb Ka Saman Na Ho Saka for youth and Student by Makhmoor Jalandhari. Free Download Mujhse Shakeb-e-qalb Ka Saman Na Ho Saka in PDF.