Dil Ki Duniya Dekh Kar Kyun Rang-e-duniya Dekhte

dil ki duniya dekh kar kyun rang-e-duniya dekhte

dekhne walo nahin hum dekh kar kya dekhte

jalwa-gah-e-dil mein aa jate wo be-parda agar

hum bhi rang-e-be-KHudi hum rang-e-musa dekhte

chaudhwin ka chand hota hai daraKHshan jis tarah

yun tasawwur mein kisi ko jagmagata dekhte

gharq ho jate mohabbat mein mohabbat-ashna

sahil-o-dariya se bhi kar ke kinara dekhte

jazb ho kar rah gae KHud hi nigah-e-barq mein

kyunkar aankhon se nasheman apna jalta dekhte

main kabhi jalwa hun tera tu kabhi partaw mera

umr guzri ja rahi hai ye tamasha dekhte

hote wo jalwa-numa gul-paikar-o-gul-pairahan

hum unhen 'maKHmur' firdaus-e-tamasha dekhte

(377) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Ki Duniya Dekh Kar Kyun Rang-e-duniya Dekhte In English By Famous Poet Makhmoor Jalandhari. Dil Ki Duniya Dekh Kar Kyun Rang-e-duniya Dekhte is written by Makhmoor Jalandhari. Read famous Poem Dil Ki Duniya Dekh Kar Kyun Rang-e-duniya Dekhte for youth and Student by Makhmoor Jalandhari. Free Download Dil Ki Duniya Dekh Kar Kyun Rang-e-duniya Dekhte in PDF.