Magar-machh Ke Aansu

sunte hain yaad musibat mein KHuda aata hai

aasra ek yahi majbur ki taqdir mein rah jata hai

khol do band kalisaon ke dar khol bhi do

mana manus nahin hath duaon se duaen mangen

mamlikat par kahin KHurshid na ho jae ghurub

hukm de do ki sabhi apne KHudaon se duaen mangen

ji pe ban jae to zillat bhi uTha lete hain

sunte hain bap musibat mein gadhe ko bhi bana lete hain

nag hai apna muawin to koi baat nahin

kaam lena hai hamein nag KHazane pe biTha lo apne

shahad ka ghunT samajh kar sam-e-qatil pi jao

kisi qimat kisi ujrat pe use sath mila mila lo apne

sara dhan jata hai to nisf luTa dete hain

sunte hain bachche jo chiKHen unhen afyun khila dete hain

sab ko baKHshenge masaib ki salasil se najat

jang laDte hain sadaqat ki, musawat ki elan karo

apni man-mani hi aaKHir mein karenge ab to

dahr ko wada-e-pur-kaif se minnat-kash-e-ehsan karo

nag Dasta hai, use dudh pilao kitna

sukhi bairi se kabhi bair nahin jhaDte, hilao kitna

ahd-e-alam bhi madum, KHuda bhi madum

koi KHadsha nahin phir se sitam-o-jaur ko arzan kar lo

fath ka jashn manana hai magar dhum ke sath

apne ghar husn se ya KHun ki bundon se charaghan kar lo

apne mahkumon ki hasti bhi koi hasti hai

ye to wadon pe bhi ji sakte hain un se nae paiman kar lo

tirgi baDhti hai tufan umaD aata hai

badliyan chha ke barasti hain falak phir se nikhar jata hai

(370) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Magar-machh Ke Aansu In English By Famous Poet Makhmoor Jalandhari. Magar-machh Ke Aansu is written by Makhmoor Jalandhari. Read famous Poem Magar-machh Ke Aansu for youth and Student by Makhmoor Jalandhari. Free Download Magar-machh Ke Aansu in PDF.