Mazaq-e-ishq Se Main Sharmsar Ho Na Saka

mazaq-e-ishq se main sharmsar ho na saka

ki raazdan bhi mera raazdar ho na saka

nazar se zarron ko ulTa galon ko chaak kiya

magar main sar-KHush-e-didar-e-yar ho na saka

shabab-o-ishq ki kul umr ek lamha thi

mujhe ye lamha magar sazgar ho na saka

baja-e-KHud meri hasti ko kar diya uryan

wo parda-dar mera parda-dar ho na saka

wo kis bharosa par ummid-war ho tera

teri nazar pe jise eatibar ho na saka

mulahiza ho mohabbat ka zauq-e-nazzara

jo aashkar tha wo aashkar ho na saka

mera maal bhi hota chaman sa ibrat-nak

junun ka shukr ki waqf-e-bahaar ho na saka

nigah-e-mast ka mamnun-e-kaif hun 'maKHmur'

ki pi to KHub magar baada-KHwar ho na saka

(497) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mazaq-e-ishq Se Main Sharmsar Ho Na Saka In English By Famous Poet Makhmoor Jalandhari. Mazaq-e-ishq Se Main Sharmsar Ho Na Saka is written by Makhmoor Jalandhari. Read famous Poem Mazaq-e-ishq Se Main Sharmsar Ho Na Saka for youth and Student by Makhmoor Jalandhari. Free Download Mazaq-e-ishq Se Main Sharmsar Ho Na Saka in PDF.