Kya Jaane Kahan Bahr-e-ulfat Ka Kinara Hai

kya jaane kahan bahr-e-ulfat ka kinara hai

har mauj ke sine mein kashti ko utara hai

ab aah ruke kyunkar ab ashk thamen kaise

chalti hui aandhi hai bahta hua dhaara

tufan tadabbur hai gahrai tadabbur ki

main ne tah-e-dariya se sahil ko ubhaara hai

parwane charaghon par girne lage masti mein

ye mahfil-e-hasti mein kaun anjuman-ara hai

sab saz ke hamil hain naghma ho ki nala ho

nala bhi gawara kar naghma jo gawara hai

'maKHmur' ko jine do aankhon hi se pine do

ye baada-kash-e-ulfat nazron hi ka mara hai

(390) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kya Jaane Kahan Bahr-e-ulfat Ka Kinara Hai In English By Famous Poet Makhmoor Jalandhari. Kya Jaane Kahan Bahr-e-ulfat Ka Kinara Hai is written by Makhmoor Jalandhari. Read famous Poem Kya Jaane Kahan Bahr-e-ulfat Ka Kinara Hai for youth and Student by Makhmoor Jalandhari. Free Download Kya Jaane Kahan Bahr-e-ulfat Ka Kinara Hai in PDF.