Sajde Jabin-e-shauq Ke Ab Raegan Nahin

sajde jabin-e-shauq ke ab raegan nahin

tu be-hijab anjuman-ara kahan nahin

main mir-e-karwan hun pas-e-karwan nahin

hathon mein mere daman-e-manzil kahan nahin

maujudgi-e-jannat-o-dozaKH se hai ayan

rahmat hai ek bahr magar be-karan nahin

chahe hijab mein raho to chahe be-hijab

hum tum hi to hain aur koi darmiyan nahin

barq-e-jamal-e-dost na ho is pe shola zan

tera bhi ghar hai sirf mera aashiyan nahin

dilchaspiyan bahut si hain is iKHtisar mein

kuchh gham nahin shabab agar jawedan nahin

sakit falak ko muft mein zalim bana diya

gardish mein hai zamin faqat aasman nahin

nakaam-tar hain meri shikasta-nasibiyan

'maKHmur' sirf zist hi na-kaamran nahin

(359) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sajde Jabin-e-shauq Ke Ab Raegan Nahin In English By Famous Poet Makhmoor Jalandhari. Sajde Jabin-e-shauq Ke Ab Raegan Nahin is written by Makhmoor Jalandhari. Read famous Poem Sajde Jabin-e-shauq Ke Ab Raegan Nahin for youth and Student by Makhmoor Jalandhari. Free Download Sajde Jabin-e-shauq Ke Ab Raegan Nahin in PDF.