KHizr-e-manzil Na Tha Ibn-e-maryam Na Tha

KHizr-e-manzil na tha ibn-e-maryam na tha

gham jahan tha koi shamil-e-gham na tha

dil ko apni tabahi ka kuchh gham na tha

us ki aankhon ka irshad mubham na tha

is se pahle bhi sau bar dhaDka tha dil

dil dhaDakne ka lekin ye aalam na tha

kab falak par sitare farozan na the

kab zamin par sitaron ka matam na tha

jam-e-jam mein jo sadiyon sulagta raha

aur kya tha agar KHun-e-adam na tha

us ne puchha na tha 'shor' jab tak mizaj

aankh nam nam na thi dard kam kam na tha

(403) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHizr-e-manzil Na Tha Ibn-e-maryam Na Tha In English By Famous Poet Manzoor Husain Shor. KHizr-e-manzil Na Tha Ibn-e-maryam Na Tha is written by Manzoor Husain Shor. Read famous Poem KHizr-e-manzil Na Tha Ibn-e-maryam Na Tha for youth and Student by Manzoor Husain Shor. Free Download KHizr-e-manzil Na Tha Ibn-e-maryam Na Tha in PDF.