Dam-e-barq-o-baad Hota Nafas-e-sharar Hota

dam-e-barq-o-baad hota nafas-e-sharar hota

kisi rang se to jina mujhe sazgar hota

mujhe us ki be-ruKHi ka bhi jo e'tibar hota

main dua ko hath uTha kar na gunahgar hota

na bala se ashk thamte na dua qubul hoti

main KHulus-e-bandgi se to na sharmsar hota

wo naqab uTh bhi jata to nazar kahan se late

tere ru-ba-ru bhi tera wahi intizar hota

gham-e-dostan ghanimat hai watan se dur warna

mere dil pe kya guzarti jo mera dayar hota

mujhe 'shor' de rahe hain wo fareb-e-tez-gami

ki jo do qadam bhi chalte to na e'tibar hota

(424) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dam-e-barq-o-baad Hota Nafas-e-sharar Hota In English By Famous Poet Manzoor Husain Shor. Dam-e-barq-o-baad Hota Nafas-e-sharar Hota is written by Manzoor Husain Shor. Read famous Poem Dam-e-barq-o-baad Hota Nafas-e-sharar Hota for youth and Student by Manzoor Husain Shor. Free Download Dam-e-barq-o-baad Hota Nafas-e-sharar Hota in PDF.