Mere Dil Ki DhaDak Uske Tabassum Par Garan Kyun Ho

mere dil ki dhaDak us ke tabassum par garan kyun ho

main afsana hun us ka wo mera afsana-KHwan kyun ho

mere kaam aa gai aaKHir meri kashana-bar-doshi

lapakti bijliyon ki zad pe mera aashiyan kyun ho

kinaron se guzar jaana hi tufanon ki fitrat hai

jahan duniya Thahar jae qadam mera wahan kyun ho

tera jalwa bhi jab tera hi parda hota jata hai

to phir meri nigahon par nigahon ka guman kyun ho

na main warafta-e-mutrib na main jaan-dada-e-saqi

agar mahfil se uTh jaun to mahfil bad-guman kyun ho

main jis aalam mein hun apni jagah ai 'shor' tanha hun

juda ho jis ki manzil wo rahin-e-karwan kyun ho

(334) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mere Dil Ki DhaDak Uske Tabassum Par Garan Kyun Ho In English By Famous Poet Manzoor Husain Shor. Mere Dil Ki DhaDak Uske Tabassum Par Garan Kyun Ho is written by Manzoor Husain Shor. Read famous Poem Mere Dil Ki DhaDak Uske Tabassum Par Garan Kyun Ho for youth and Student by Manzoor Husain Shor. Free Download Mere Dil Ki DhaDak Uske Tabassum Par Garan Kyun Ho in PDF.