Wo Mere Gham Mein Bhi KHandan Nahin Hone Pata

wo mere gham mein bhi KHandan nahin hone pata

hae wo kufr jo iman nahin hone pata

wo nasheman ki jo barbaad-e-bahaaran ho jae

wo kahin soKHta-saman nahin hone pata

ho agar hosh bhi ehsas-e-bahaaran mein sharik

chaak apna bhi gareban nahin hone pata

itni aasan bhi gham-e-dost ki takmil nahin

ghar bhi ujDe to bayaban nahin hone pata

yun bhi ek umr guzar jati hai milte milte

ek ko ek ka irfan nahin hone pata

'shor' KHamosh nahin mere hi zindan ke charagh

shahr-e-KHuban bhi charaghan nahin hone pata

(473) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Mere Gham Mein Bhi KHandan Nahin Hone Pata In English By Famous Poet Manzoor Husain Shor. Wo Mere Gham Mein Bhi KHandan Nahin Hone Pata is written by Manzoor Husain Shor. Read famous Poem Wo Mere Gham Mein Bhi KHandan Nahin Hone Pata for youth and Student by Manzoor Husain Shor. Free Download Wo Mere Gham Mein Bhi KHandan Nahin Hone Pata in PDF.