Maal-e-shab Ba-unwan-e-sahar Kahna Hi PaDta Hai

maal-e-shab ba-unwan-e-sahar kahna hi paDta hai

koi rasta ho us ki rahguzar kahna hi paDta hai

wo sannaTa KHirad kahti hai jis ko ghar ki virani

use bhi raunaq-e-diwar-o-dar kahna hi paDta hai

sulag jata hai sina jis ki ThanDi sarsarahaT se

us aatish ko bhi yan baad-e-sahar kahna hi paDta hai

sharik-e-rahguzar koi nahin hota magar phir bhi

yahan har rah-rau ko ham-safar kahna hi paDta hai

musallam gul-kadon ki lala-samani magar hamdam

sharar-o-barq ko bhi mo'atabar kahna hi paDta hai

ba-har-surat guzar jati hai jo dil par guzarti hai

magar phir apne ghar ko apna ghar kahna hi paDta hai

kuchh aise bhi fasane mahfilon mein chheDe jate hain

ki jin ko ehtiyatan muKHtasar kahna hi paDta hai

KHamoshi ek majburi takallum ek mahrumi

kisi se kah nahin sakte magar kahna hi paDta hai

(379) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Maal-e-shab Ba-unwan-e-sahar Kahna Hi PaDta Hai In English By Famous Poet Manzoor Husain Shor. Maal-e-shab Ba-unwan-e-sahar Kahna Hi PaDta Hai is written by Manzoor Husain Shor. Read famous Poem Maal-e-shab Ba-unwan-e-sahar Kahna Hi PaDta Hai for youth and Student by Manzoor Husain Shor. Free Download Maal-e-shab Ba-unwan-e-sahar Kahna Hi PaDta Hai in PDF.