Husul-e-faqr Gar Chahe To ChhoD Asbab-e-duniya Ko

husul-e-faqr gar chahe to chhoD asbab-e-duniya ko

laga de aag yaksar bistar-e-sanjab-o-diba ko

rakhe hain haq-parastan tark-e-jamiyyat mein jamiyyat

mayassar howe ye daulat kahan arbab-e-duniya ko

fareb-e-rang-o-bu-e-dahr mat kha mard-e-aqil ho

samajh aatish-kada is gulshan-e-shadab-e-duniya ko

siyah-mast-e-mai-e-tahqiq ho gar pak-tinat hai

najis mat jam kar tu bhar ke bas KHunab-e-duniya ko

ye hai 'bedar' zahr-aluda mar is se hazar karna

na lena hath mein tu gesu-e-pur-tab-e-duniya ko

(323) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Husul-e-faqr Gar Chahe To ChhoD Asbab-e-duniya Ko In English By Famous Poet Meer Mohammadi Bedar. Husul-e-faqr Gar Chahe To ChhoD Asbab-e-duniya Ko is written by Meer Mohammadi Bedar. Read famous Poem Husul-e-faqr Gar Chahe To ChhoD Asbab-e-duniya Ko for youth and Student by Meer Mohammadi Bedar. Free Download Husul-e-faqr Gar Chahe To ChhoD Asbab-e-duniya Ko in PDF.